Top Indian Bloggers & Their Income

Top Indian Bloggers & Their Income || भारत के 10 सबसे बड़े ब्लॉगर || Top Indian Bloggers and Their Income in Hindi || Bharat ke 10 Sabse Bade Blogger aur Unki Kamai || Bharat ke famous Blogger
Likhna ek aisi kala hai jiske zariye se aap apni soch, tazurba aur feelings ko dusre logo ke sath share kar sakte hain. Aur ye aapka sabse behtareen passion bhi ho sakta hai. Lekin kya aapko pata hai ki aap apne is passion se bahut acchi kamai bhi kar sakte hain?
Aaj ke is post me, hum aapko batayenge ki kaise logo ne blogging ko apna income ka zariya banaya. Aur wo top Indian bloggers aaj ki date me kitna kama lete hain. To ye sab jaanne ke liye hamari post ko aakhir tak pade aur fir hame batayein ki aap kya sochte is hobby ke bare me. Kya aap bhi ek safal blogger banna chahte hain? Blogging se jude sabhi sawalo ke liye hame comment bhi karein.
How to become Blogger || ब्लॉगर कैसे बनते हैं?
Inme se koi blogger aisa nahi tha jo God Gifted ho. Ye sabhi aap aur meri tarah hi ek aam insan the. But apni lagan aur mehnat se aaj ye itni kamai kar lete hain ki ek doctor ya engineer ko bhi itni salary nahi milti hai. Yaha tak ki kai companies ke CEO ki salary se zyada in bloggers ki income hai.
ज़्यादातर ब्लॉगर WordPress का इस्तेमाल करते हैं और अलग-अलग टॉपिक जैसे की टेक्नोलॉजी, कंप्यूटर, सॉफ्टवेयर, इंटरनेट, स्मार्ट फ़ोन, लाइफ स्टाइल, फ़ूड एंड ट्रेवल, मनी मेकिंग एंड ब्लॉग्गिंग टिप्स पर लिखते हैं।
Jabki ek doctor, engineer ya kisi company ka ceo banne ke liye aapko bahut zyada padai karni padti hai. Aur us padai me paisa bhi bahut kharch karna padta hai. Lekin blogger banne ke liye aapko badi degree ya investment ki zarurat nahi hai. Aap apna blog kabhi bhi apne desktop ya laptop se shuru kar sakte hain.
Read: प्लास्टिक की बोतल का प्लांटर कैसे बनाएँ
Top 10 Indian Bloggers and Their Income List
Ye sabhi blogger likhna pasand karte hain aur inke lakho monthly readers hain. Hamne ek list bhi taiyar ki hai jisme blogger ki income and rank bhi mention hai. Ye sabhi information alag alag sources se li gayi hai aur inki income estimated hai.
Name | Blog | Monthly Earning | Global Rank | India Rank |
Amit Agrawal | labnol.org | $60,000 | 15,757 | 3,582 |
Vinay Singhal | wittyfeed.com | $50,000 | 3,558 | 5,747 |
Shradha Sharma | yourstory.com | $30,000 | 9,516 | 657 |
Faisal Farooqui | mouthshut.com | $50,000 | 15,143 | 1,042 |
Harsh Agrawal | shoutmeloud.com | $52,000 | 14,957 | 1,943 |
Varun Krishnan | FoneArena.com | $22,000 | 27,133 | 2,407 |
Arun Prabhudesai | trak.in | $15,000 | 66,347 | 4,501 |
Raju PP | techpp.com | $12,000 | 103,857 | 15,059 |
S Pradeep Kumar | HellBoundBloggers.com | $10,000 | 119,078 | 10,492 |
Srinivas Tamada | 9lessons.info | $20,000 | 140,428 | 13,191 |
1) Amit Agarwal

Indian blogging me sabse pehla naam inhi ka aata hai. Mr Agarwal IITian hai aur ek professinal blogger bhi hain. Inhone computer science me bhi engineering ki degree le rakhi hai aur kai MNC’s me kaam bhi kar chuke hain. Kai bloggers inki isi kamyabi se inpired hain. Inke blog ka naam hai Labnol.org. Iske alawa inka ek aur online speech to text website hai jiska naam hai dictation.io .
- Monthly Earning: $60,000 (Estimated)
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements & Affiliate Income.
- Blog/Website: labnol.org
- Alexa Global rank: 15,757
- India Rank: 3,582
- Started: 2004
- City: USA
2) Vinay Singhal

Inhone Chennai ke college se padai ki hai aur Wittyfeed.com ke owner hain. Vinay apne blog kai sare topics ke bare me likhte hain jaise technology, lifestyle, relationship, religion, travel, politics, photography etc. Ye duniya dusra sabse bada blog hai jisme viral content padne ko milenge.
- Monthly Earning: $50,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements.
- Blog/Website: wittyfeed.com
- Alexa Global rank: 3,558
- India Rank: 5,747
- Started: 2014
- City: Indore, Madhya Pradesh, India
3) Shradha Sharma

Shradha Sharma ne Delhi ke St. Stephen’s College se history me BA aur MA kiya hai. Iske alawa Ahmadabad se MBA bhi kiya hai. Inki bahut hi famous website hai jiska naam hai YourStory.com jo ki 2018 me YourStory.in ke naam se shuru hui thi.
Blogging ki duniya me ye akeli lady hain jo top indian bloggers list me hain. Ye apne blog me dusre kamyab logo ki story batati hain ki kis tarah wo log success huye. Isme Entrepreneurs, Leaders, Founders aur Startups ki success stories padne ko milengi. Inke blog me abtak 15000 se zyada success stories likhi ja chuki hain.
- Monthly Earning: $30,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements & Affiliate Income.
- Blog/Website: yourstory.com
- Alexa Global rank: 9,516
- India Rank: 657
- Started: 2008
- City: Bangalore, Karnataka, India
Read: महिलाओं के लिए छोटे कारोबार
4) Faisal Farooqui

Inhone New York Binghamton University se padai ki hai aur MouthShut.com ke founder hain. Ye blog a consumer research and services portal hai jisme log kisi product ya service ke bare me apna feedback batate hain. MouthShut is not a blog, but Faisal Farooqui ek popular Indian entrepreneurs zarur jane jate hain.
- Monthly Earning: $50,000 (Estimated).
- Income Source: Paid Advertisements, Affiliate Income, and Premium Membership.
- Blog/Website: mouthshut.com
- Alexa Global rank: 15,143
- India Rank: 1,042
- Started: 2000
- City: USA and (Mumbai – Headquarters) India
5) Harsh Agrawal

He is B.Tech graduate in IT from Sharda University. Ye bhi online blogging ki duniya me bahut hi famous naam hai. Because ye apne blog me blogging tips, earning money online, Word Press and about SEO (Search Engine Optimization), social media marketing and web hosting plans ke bare me likhte hain.
- Monthly Earning: $52,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements & Affiliate Income.
- Blog/Website: shoutmeloud.com
- Alexa Global rank: 14,957
- India Rank: 1,943
- Started: 2008
- City: New Delhi, India
6) Varun Krishnan

Inhone St. Michael’s Academy se apni padai puri ki hai. Aur India ke most popular mobile blog – FoneArena ke owner bhi hain. Ye apne blog me smartphones, gadgets, smartphones and gadget reviews, new launched gadgets, latest news about gadgets ke bare me likhte hain.
- Monthly Earning: $22,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements.
- Blog/Website: FoneArena.com
- Alexa Global rank: 27,133
- India Rank: 2,407
- Started: 2005
- City: Mumbai, Maharashtra, India
7) Arun Prabhudesai

Padai me Civil Engineer ki degree li hai aur Trak.in ke owner hain. Ye Indian Telecom ke bare me popular blog hai. Ye bhi apne blog me Technology, Telecom, Internet, and Mobile ke bare me likhte hain.
- Monthly Earning: $15,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements.
- Blog/Website: trak.in
- Alexa Global rank: 66,347
- India Rank: 4,501
- Started: 2007
- City: Pune, Maharashtra, India
Read: जाड़े की धूप – हिंदी कविता
8) Raju PP

Mr Raju Electronic Engineering me graduate hain aur techpp.com ke founder hain. Ye apne blog me kai topics par likhte hain like technology, online tools, and web apps ke bare me batate hain.
- Monthly Earning: $12,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements.
- Blog/Website: techpp.com
- Alexa Global rank: 2,23,816
- India Rank: 34,943
- Started: 2008
- City: Bangalore, Karnataka, India
9) S Pradeep Kumar

He is Graduated from SMK Fomra Institute of Technology and founder of HellBoundBloggers. Ye apne blog me social media aur uska sahi istemal, technology and blogging tips ke bare me likhte hain.
- Monthly Earning: $10,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements & Affiliate Income.
- Blog/Website: HellBoundBloggers.com
- Alexa Global rank: 2,23,816
- India Rank: 34,943
- Started: 2009
- City: Chennai, Tamil Nadu, India
10) Srinivas Tamada

Mr Srinivas ko programming ki acchi knowledge hai isliye unhone isi par blog likhna shuru kar diya. Aaj unka blog 9Lessons.info bahut hi popular programming blog hai. So top Indian bloggers me inki alag hi pehchan hai. Apne blog me wo programming, PHP, Ajax, and other web-design aspects wagerah ke bare likhte hain.
- Monthly Earning: $20,000 (Estimated).
- Income Source: Adsense, Paid Advertisements & Affiliate Income.
- Blog/Website: 9lessons.info
- Alexa Global rank: 1,40,428
- India Rank: 13,191
- Started: 2009
- City: Chennai, Tamil Nadu, India
To ye the India ke top 10 blogger jinhone blogging ki duniya me apna career banaya aur aaj ek bahut hi kamyab blogger hain. But Inke alawa bhi India me abhi bhi bahut sare bloggers hain jinhone apni writing ki hobby ko apna profession bana liya hai.
Agar aap bhi apna blog shuru karna chahte hain to hame comment karke zarur bateye. Aur hum apko batayenge ki blog kaise start karte hain. But Iske alawa bhi blog ke bare me hum aapko aur jankari dete rahenge to uske liye hamare blog ko subscribe bhi zarur kar lein.
3 Comments
gautami raletta
June 21, 2019 at 3:30 pmhello,
thank you for sharing this post
these bloggers are truly awesome at what they do.
BadteRaho Says
July 16, 2019 at 7:12 pmThanks, Share this post with your friends 🙂
vishwajeet s baghel
June 24, 2019 at 12:43 pmthese bloggers are just inspirations for us all.